اردو हिंदी
Tujh lab ki sifat lal-e-badaKHshan sun kahunga | Shaahi Shayari
tujh lab ki sifat lal-e-badaKHshan sun kahunga

Ghazal

Tujh lab ki sifat lal-e-badaKHshan sun kahunga

Wali Mohammad Wali

;

tujh lab ki sifat lal-e-badaKHshan sun kahunga
jadu hain tere nain ghazalan sun kahunga

di baadshahi haq ne tujhe husn-nagar ki
yu kishwar-e-iran mein sulaiman sun kahunga

tarif tere qad ki alif-war sirijan
ja sarw-e-gulistan kun KHush-alhan sun kahunga

mujh par na karo zulm tum ai laili-e-KHuban
majnun hun tere gham kun bayaban sun kahunga

dekha hun tujhe KHwab mein ai maya-e-KHubi
is KHwab ko ja yusuf-e-kanan sun kahunga

jalta hun shab-o-roz tere gham mein ai sajan
ye soz tera mashal-e-sozan sun kahunga

yak nuqta tere safha-e-ruKH par nain beja
is mukh ko tere safha-e-quran sun kahunga

qurban pari mukh pe hui chob si jal kar
ye baat ajaib mah-e-taban sun kahunga

be-sabr na ho ai 'wali' is dard sun hargiz
jalta hun tere dard mein darman sun kahunga