har taraf hashr mein jhankar hai zanjiron ki
un ki zulfon ke giraftar chale aate hain
Taashshuq Lakhnavi
aamad aamad hai KHizan ki jaane wali hai bahaar
rote hain gulzar ke dar baghban khole hue
Taashshuq Lakhnavi
gaya shabab par itna raha talluq-e-ishq
dil o jigar mein tapak gah gah hoti hai
Taashshuq Lakhnavi
dete phirte the hasinon ki gali mein aawaz
kabhi aaina-farosh-e-dil-e-hairan hum the
Taashshuq Lakhnavi
charagh-e-dagh main din se jalae baiTha hun
suna hai jo shab-e-furqat siyah hoti hai
Taashshuq Lakhnavi
chala ghar se wo bahr-e-husn allah re kashish dil ki
ajab qatra hai jo khinche liye jata hai dariya ko
Taashshuq Lakhnavi
ahut muzir dil-e-ashiq ko aah hoti hai
isi hawa se ye kashti tabah hoti hai
Taashshuq Lakhnavi
ar-e-KHatir hi agar hai to inayat kije
aap ko husn mubarak ho mera dil mujh ko
Taashshuq Lakhnavi
aDhte baDhte aatish-e-ruKHsar lau dene lagi
rafta rafta kan ke moti sharare ho gae
Taashshuq Lakhnavi