اردو हिंदी
KHamoshi bas KHamoshi thi ijazat ab hui hai | Shaahi Shayari
KHamoshi bas KHamoshi thi ijazat ab hui hai

Ghazal

KHamoshi bas KHamoshi thi ijazat ab hui hai

Shariq Kaifi

;

KHamoshi bas KHamoshi thi ijazat ab hui hai
ishaaron ko tere paDhne ki jurat ab hui hai

ajab lahje mein karte the dar-o-diwar baaten
mere ghar ko bhi shayad meri aadat ab hui hai

guman hun ya haqiqat sochne ka waqt kab tak
ye ho kar bhi na hone ki musibat ab hui hai

achanak haDbaDa kar nind se main jag uTTha hun
purana waqia hai jis pe hairat ab hui hai

yahi kamra tha jis mein chain se hum ji rahe the
ye tanhai to itni be-murawwat ab hui hai

bichhaDna hai hamein ek din ye donon jaante the
faqat hum ko juda hone ki fursat ab hui hai

ajab tha masala apna ajab sharmindagi thi
KHafa jis raat par the wo shararat ab hui hai

mohabbat ko teri kab se liye baiThe the dil mein
magar is baat ko kahne ki himmat ab hui hai