maut ke darinde mein ek kashish to hai 'sarwat'
log kuchh bhi kahte hon KHud-kushi ke bare mein
Sarvat Husain
main so raha tha aur meri KHwab-gah mein
ek azhdaha charagh ki lau ko nigal gaya
Sarvat Husain
main kitab-e-KHak kholun to khule
kya nahin maujud kya maujud hai
Sarvat Husain
main aag dekhta tha aag se juda kar ke
bala ka rang tha rangini-e-qaba se udha
Sarvat Husain
le aaega ek roz gul o barg bhi 'sarwat'
baran ka musalsal KHas-o-KHashak pe hona
Sarvat Husain
KHush-libasi hai baDi chiz magar kya kije
kaam is pal hai tere jism ki uryani se
Sarvat Husain
jise anjam tum samajhti ho
ibtida hai kisi kahani ki
Sarvat Husain
ek dastan ab bhi sunate hain farsh o baam
wo kaun thi jo raqs ke aalam mein mar gai
Sarvat Husain
husn-e-bahaar mujh ko mukammal nahin laga
main ne tarash li hai KHizan apne hath se
Sarvat Husain