milna aur bichhaD jaana kisi raste par
ek yahi qissa aadamiyon ke sath raha
Sarvat Husain
subh ke shahr mein ek shor hai shadabi ka
gil-e-diwar zara bosa-numa ho jaana
Sarvat Husain
surma jis ke kinaron se palaT aate hain
main ne kashti ko utara hai usi pani mein
Sarvat Husain
teri aashufta-mizaji ai dil
kya KHabar kaun nagar le jae
Sarvat Husain
umr ka koh-e-giran aur shab-o-roz mere
ye wo patthar hai jo kaTta nahin aasani se
Sarvat Husain
ye intiha-e-masarrat ka shahr hai 'sarwat'
yahan to har dar-o-diwar ek samundar hai
Sarvat Husain
ye jo raushni hai kalam mein ki baras rahi hai tamam mein
mujhe sabr ne ye samar diya mujhe zabt ne ye hunar diya
Sarvat Husain
ye kaun utra pae-gasht apni masnad se
aur intizam-e-makan o sira badalne laga
Sarvat Husain
aaankhon mein damak uTThi hai taswir-e-dar-o-baam
ye kaun gaya mere barabar se nikal ka
Sarvat Husain

