aaine mein kahin gum ho gai surat meri
mujh se milti hi nahin shakl-o-shabahat meri
Sarfraz Khalid
hosh jata raha duniya ki KHabar hi na rahi
jab ki hum bhul gae KHud ko wo tab yaad aaya
Sarfraz Khalid
ibtida us ne hi ki thi meri ruswai ki
wo KHuda hai to gunahgar nahin hun main bhi
Sarfraz Khalid
ek tu ne hi nahin ki junun ki dukan band
sauda koi hamare bhi sar mein nahin raha
Sarfraz Khalid
jo tum kahte ho mujh se pahle tum aae the mahfil mein
to phir tum hi batao aaj kya kya hone wala hai
Sarfraz Khalid
KHwab maile ho gae the un ko dhona chahiye tha
raat ki tanhaiyon mein KHub rona chahiye tha
Sarfraz Khalid
kisi ne jaan hi luTa di wafaon ki KHatir
tum hi batao ki qissa ye kis kitab ka hai
Sarfraz Khalid
lambi hai bahut aaj ki shab jagne walo
aur yaad mujhe koi kahani bhi nahin hai
Sarfraz Khalid
main apne-ap se aage nikal gaya hun bahut
kisi safar ke hawale ye jism-o-jaan kar ke
Sarfraz Khalid