usi se puchho use nind kyun nahin aati
ye us ka kaam nahin hai to mera kaam hai kya
Sarfraz Khalid
wo bhi na aaya umr-e-guzishta ke misl hi
hum bhi khaDe rahe dar-o-diwar ki tarah
Sarfraz Khalid
wo chehra mujhe saf dikhai nahin deta
rah jati hain sayon mein ulajh kar meri aankhen
Sarfraz Khalid
wo muztarib tha bahut mujh ko darmiyan kar ke
so pa liya hai use KHud ko raegan kar ke
Sarfraz Khalid
ye kaenat bhi kya qaid-KHana hai koi
ye zindagi bhi koi tarz-e-intiqam hai kya
Sarfraz Khalid
zist ki yaksaniyat se tang aa jate hain sab
ek din tu bhi meri baaton se ukta jaega
Sarfraz Khalid
hamare kandhe pe is bar sirf aankhen hain
hamare kandhe pe is bar sar nahin hai koi
Sarfraz Khalid
aankhon ne banai thi koi KHwab ki taswir
tum bhul gae ho to kise dhyan rahega
Sarfraz Khalid
ab jism ke andar se aawaz nahin aati
ab jism ke andar wo rahta hi nahin hoga
Sarfraz Khalid