ab mujh mein koi baat nai DhunDhne walo
ab mujh mein koi baat purani bhi nahin hai
Sarfraz Khalid
ajib fursat-e-awargi mili hai mujhe
bichhaD ke tujh se zamane ka Dar nahin hai koi
Sarfraz Khalid
apne hi sae se har gam laraz jata hun
mujh se tai hi nahin hoti hai masafat meri
Sarfraz Khalid
aada-o-jam ke rahe hi nahin
hum kisi kaam ke rahe hi nahin
Sarfraz Khalid
aat to ye hai ki wo ghar se nikalta bhi nahin
aur mujh ko sar-e-bazar liye phirta hai
Sarfraz Khalid
der tak jagte rahne ka sabab yaad aaya
tum se bichhDe the kisi moD pe ab yaad aaya
Sarfraz Khalid
dil jo TuTa hai to phir yaad nahin hai koi
is KHarabe mein ab aabaad nahin hai koi
Sarfraz Khalid
ek din us ki nigahon se bhi gir jaenge
us ke baKHshe hue lamhon pe basar karte hue
Sarfraz Khalid
hum kisi aur waqt ke hain asir
subh ke sham ke rahe hi nahin
Sarfraz Khalid