aadhi se ziyaada shab-e-gham kaT chuka hun
ab bhi agar aa jao to ye raat baDi hai
Saqib Lakhnavi
dida-e-dost teri chasm-numai ki qasam
main to samjha tha ki dar khul gaya mai-KHane ka
Saqib Lakhnavi
chal ai ham-dam zara saz-e-tarab ki chheD bhi sun len
agar dil baiTh jaega to uTh aaenge mahfil se
Saqib Lakhnavi
u-e-gul phulon mein rahti thi magar rah na saki
main to kanTon mein raha aur pareshan na hua
Saqib Lakhnavi
ala se ho pamal sara zamana
na aae tumhein panw rakhna sambhal ka
Saqib Lakhnavi
aghban ne aag di jab aashiyane ko mere
jin pe takiya tha wahi patte hawa dene lage
Saqib Lakhnavi
apne dil-e-betab se main KHud hun pareshan
kya dun tumhein ilzam main kuchh soch raha hun
Saqib Lakhnavi
aap uTh rahe hain kyun mere aazar dekh kar
dil Dubte hain haalat-e-bimar dekh ka
Saqib Lakhnavi