apni tabahiyon ka mujhe koi gham nahin
tum ne kisi ke sath mohabbat nibha to di
at my own destruction I do not moan or weep
for faith at least with someone, you managed to keep
Sahir Ludhianvi
abhi zinda hun lekin sochta rahta hun KHalwat mein
ki ab tak kis tamanna ke sahaare ji liya main ne
Sahir Ludhianvi
abhi na chheD mohabbat ke git ai mutrib
abhi hayat ka mahaul KHush-gawar nahin
Sahir Ludhianvi
ab aaen ya na aaen idhar puchhte chalo
kya chahti hai un ki nazar puchhte chalo
Sahir Ludhianvi
aap daulat ke taraazu mein dilon ko taulen
hum mohabbat se mohabbat ka sila dete hain
Sahir Ludhianvi
andheri shab mein bhi tamir-e-ashiyan na ruke
nahin charagh to kya barq to chamakti hai
Sahir Ludhianvi
hum jurm-e-mohabbat ki saza paenge tanha
jo tujh se hui ho wo KHata sath liye ja
Sahir Ludhianvi
hum se agar hai tark-e-talluq to kya hua
yaro koi to un ki KHabar puchhte chalo
Sahir Ludhianvi
hum to samjhe the ki hum bhul gae hain un ko
kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya
Sahir Ludhianvi