zara ruTh jaane pe itni KHushamad
'qamar' tum bigaDoge aadat kisi ki
Qamar Jalalvi
is liye aarzu chhupai hai
munh se nikli hui parai hai
Qamar Jalalvi
ab aage is mein tumhaara bhi nam aaega
jo hukm ho to yahin chhoD dun fasane ko
Qamar Jalalvi
ab naza ka aalam hai mujh par tum apni mohabbat wapas lo
jab kashti Dubne lagti hai to bojh utara karte hain
my end is now upon me, take back your
for when a ship is sinking, the burden is removed
Qamar Jalalvi
abhi baqi hain patton par jale tinkon ki tahriren
ye wo tariKH hai bijli giri thi jab gulistan pa
Qamar Jalalvi
agar aa jae pahlu mein 'qamar' wo mah-e-kaamil bhi
do aalam jagmaga uTThenge dohri chandni hogi
Qamar Jalalvi
aise mein wo hon bagh ho saqi ho ai 'qamar'
lag jaen chaar chand shab-e-mahtab mein
Qamar Jalalvi
aDha baDha ke jafaen jhuka hi doge kamar
ghaTa ghaTa ke 'qamar' ko hilal kar doge
Qamar Jalalvi
daba ke qabr mein sab chal diye dua na salam
zara si der mein kya ho gaya zamane ko
Qamar Jalalvi