jaane kis ummid pe chhoD aae the ghar-bar log
nafraton ki sham yaad aae purane yar log
Nomaan Shauque
itni tazim hui shahr mein uryani ki
raat aankhon ne bhi ji bhar ke badan-KHwani ki
Nomaan Shauque
ishq mein sachcha tha wo meri tarah
bewafa to aazmane se hua
Nomaan Shauque
aaine ka samna achchha nahin hai bar bar
ek din apni hi aankhon mein khaTak sakta hun main
Nomaan Shauque
ishq ka matlab kise malum tha
jin dinon aae the hum dil haar ke
Nomaan Shauque
is bar intizam to sardi ka ho gaya
kya haal peD kaTte hi basti ka ho gaya
Nomaan Shauque
har muttaqi ko is se sabaq lena chahiye
jannat ki chah ne jise shaddad kar diya
Nomaan Shauque
hamein bura nahin lagta safed kaghaz bhi
ye titliyan to tumhaare liye banate hain
Nomaan Shauque
hum ko Dara kar, aap ko KHairaat banT kar
ek shaKHs raaton-raat jahangir ho gaya
Nomaan Shauque