aankh khul jae to ghar matam-kada ban jaega
chal rahi hai sans jab tak chal raha hun nind mein
Nomaan Shauque
ishq kya hai KHubsurat si koi afwah bas
wo bhi mere aur tumhaare darmiyan uDti hui
Nomaan Shauque
KHuda muaf kare sare munsifon ke gunah
hum hi ne shart lagai thi haar jaane ki
Nomaan Shauque
khil rahe hain mujh mein duniya ke sabhi nayab phul
itni sarkash KHak ko kis abr ne nam kar diya
Nomaan Shauque
kaisi jannat ke talabgar hain tu jaanta hai
teri likkhi hui duniya ko miTate hue hum
Nomaan Shauque
kabutaron mein ye dahshat kahan se dar aai
ki masjidon se bhi kuchh dur ja ke baiTh gae
Nomaan Shauque
kabhi libas kabhi baal dekhne wale
tujhe pata hi nahin hum sanwar chuke dil se
Nomaan Shauque
jizya wasul kijiye ya shahr ujaDiye
ab to KHuda bhi aap ki marzi ka ho gaya
Nomaan Shauque
jaan-e-jaan mayus mat ho haalat-e-bazar se
shayad agle sal tak diwana-pan milne lage
Nomaan Shauque