use guman hai ki meri uDan kuchh kam hai
mujhe yaqin hai ki ye aasman kuchh kam hai
Nafas Ambalvi
mere KHayal ki parwaz bas tumhin tak thi
phir is ke baad mujhe koi aasman na mila
Nafas Ambalvi
nigahon ke manazir be-sabab dhundhle nahin paDte
hamari aankh mein dariya koi Thahra hua hoga
Nafas Ambalvi
sari gawahiyan to mere haq mein aa gain
lekin mera bayan hi mere KHilaf tha
Nafas Ambalvi
tarikiyan qubul thin mujh ko tamam umr
lekin main jugnuon ki KHushamad na kar saka
Nafas Ambalvi
tu dariya hai to hoga han magar itna samajh lena
tere jaise kai dariya meri aankhon mein rahte hain
Nafas Ambalvi
ye ishq ke KHutut bhi kitne ajib hain
aankhen wo paDh rahi hain jo tahrir bhi nahin
Nafas Ambalvi
zindagi waqt ke safhon mein nihan hai sahab
ye ghazal sirf kitabon mein nahin milti hai
Nafas Ambalvi
zaKHm abhi tak taza hain har dagh sulagta rahta hai
sine mein ek jaliyan-wala-bagh sulagta rahta hai
Nafas Ambalvi

