saqi wo KHas taur ki talim de mujhe
us mai-kade mein jaun to pir-e-mughan rahun
Muztar Khairabadi
sadma but-e-kafir ki mohabbat ka na puchho
ye choT to kabe hi ke patthar se lagi hai
Muztar Khairabadi
subh tak kaun jiyega shab-e-tanhai mein
dil-e-nadan tujhe ummid-e-sahar hai bhi to kya
Muztar Khairabadi
sunoge haal jo mera to dad kya doge
yahi kahoge ki jhuTa hai tu zamane ka
Muztar Khairabadi
surat to ek hi thi do ghar hue to kya hai
dair-o-haram ki babat jhagDe fuzul Dale
Muztar Khairabadi
wo mazaq-e-ishq hi kya ki jo ek hi taraf ho
meri jaan maza to jab hai ki tujhe bhi kal na aae
Muztar Khairabadi
wo pas aane na pae ki aai maut ki nind
nasib so gae masruf-e-KHwab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
wo pahli sab wafaen kya huin ab ye jafa kaisi
wo pahli sab adaen kya huin ab ye ada kyun hai
Muztar Khairabadi
wo karenge wasl ka wada wafa
rang gahre hain hamari sham ke
Muztar Khairabadi