اردو हिंदी
Muztar Khairabadi Shayari | Shaahi Shayari

Muztar Khairabadi Shers

199 Shers

mere dal ne jhaTke uThae hain kitne ye tum apni zulfon ke baalon se puchho
kaleje ki choTon ko main kya bataun ye chhati pe lahrane walon se puchho

Muztar Khairabadi


Tags: | 2 Lines Shayari |


mere gunah ziyaada hain ya teri rahmat
karim tu hi bata de hisab kar ke mujhe

whether my sins are greater of your mercy pray?
My lord take account and tell me this today

Muztar Khairabadi


Tags: | Khuda | | Gunah | | 4 Lines Shayari |


musibat aur lambi zindagani
buzurgon ki dua ne mar Dala

all these worldly troubles and longevity
blessings of the elders is the death of me

Muztar Khairabadi




nahin manzur jab milna to wade ki zarurat kya
ye tum ko jhuTi-muTi aadat-e-iqrar kaisi hai

Muztar Khairabadi


Tags: | 2 Lines Shayari |


nahin hun main to teri bandagi ke kya mani
nahin hai tu to KHuda kaun hai zamane ka

Muztar Khairabadi


Tags: | 2 Lines Shayari |


na us ke daman se main hi uljha na mere daman se ye hi aTki
hawa se mera bigaD kya hai jo sham-e-turbat bujha rahi hai

Muztar Khairabadi


Tags: | 2 Lines Shayari |


na ro itna parae waste ai dida-e-giryan
kisi ka kuchh nahin jata teri binai jati hai

Muztar Khairabadi


Tags: | 2 Lines Shayari |


na kisi ki aankh ka nur hun na kisi ke dil ka qarar hun
jo kisi ke kaam na aa sake main wo ek musht-e-ghubar hun

I'm not the light of any eye, for me none has a care
no use to anyone am I, dust merely scattered there

Muztar Khairabadi


Tags: | 4 Lines Shayari |


mohabbat ka asar phir dekhna marne to do mujh ko
wo mere sath zinda dafn ho jaen ajab kya hai

Muztar Khairabadi


Tags: | 2 Lines Shayari |