mil mil gae hain KHak mein lakhon dil-e-raushan
har zarra mujhe arsh ka tara nazar aaya
Muneer Shikohabadi
munDeron par chhiDak de apne kushton ka lahu ai gul
ugega sabza-e-shamsir diwar-e-gulistan pa
Muneer Shikohabadi
munh tak bhi zoaf se nahin aa sakti dil ki baat
darwaza ghar se saikDon farsang ho gaya
Muneer Shikohabadi
mujh ko apne sath hi tere sulane ki hawas
is tarah hai baKHt-e-KHufta ke jagane ki hawas
Muneer Shikohabadi
namaz shukr ki paDhta hai jam toD ke shaiKH
wuzu ke waste leta hai aabru-e-shara
Muneer Shikohabadi
paD gai jaan jo us tifl ne patthar mare
aaj jugnu ki tarah har sharar-e-sang uDa
Muneer Shikohabadi
paya tabib ne jo teri zulf ka mariz
shamil dawa mein mushk-e-shab-e-tar kar diya
Muneer Shikohabadi
pahuncha hai us ke pas ye aaina TuT ke
kis se mila hai shisha-e-dil hum se phuT ke
Muneer Shikohabadi
indon ko pabandi-e-duniya kahan
kashti-e-mai ko nahin langar ki chah
Muneer Shikohabadi