KHal-o-KHat se aib us ke ru-e-aqdas ko nahin
husn hai mushaf mein hona nuqta-e-earab ka
Muneer Shikohabadi
khate hain angur pite hain sharab
bas yahi maston ka aab-o-dana hai
Muneer Shikohabadi
KHub tazir-e-gunah-e-ishq hai
naqd-e-jaan lena yahan jurmana hai
Muneer Shikohabadi
kibr bhi hai shirk ai zahid muwahhid ke huzur
le ke tesha KHaksari ka but-e-pindar toD
Muneer Shikohabadi
ki tark main ne shaiKH-o-barahman ki pairwi
dair-o-haram mein mujh ko tera nam le gaya
Muneer Shikohabadi
kis tarah KHush hon sham ko wo chand dekh kar
aata nahin hai mashal-e-mah ka dhuan pasand
Muneer Shikohabadi
kisi se uTh nahin sakne ka bojh maston ka
zamin shaq ho agar shisha-e-sharab gire
Muneer Shikohabadi
koThe pe chehra-e-pur-nur dikhaya sar-e-sham
yar se rajat-e-KHurshid ka ejaz hua
Muneer Shikohabadi
kufr-o-islam mein taulen jo haqiqat teri
but-kada kya ki haram sang-e-taraazu ho jae
Muneer Shikohabadi