gar kabhi rona hi paD jae to itna rona
aa ke barsat tere samne tauba kar le
Munawwar Rana
ghar mein rahte hue ghairon ki tarah hoti hain
laDkiyan dhan ke paudon ki tarah hoti hain
Munawwar Rana
hans ke milta hai magar kafi thaki lagti hain
us ki aankhen kai sadiyon ki jagi lagti hain
Munawwar Rana
hum nahin the to kya kami thi yahan
hum na honge to kya kami hogi
Munawwar Rana
hum sab ki jo dua thi use sun liya gaya
phulon ki tarah aap ko bhi chun liya gaya
Munawwar Rana
har chehre mein aata hai nazar ek hi chehra
lagta hai koi meri nazar bandhe hue hai
Munawwar Rana
is tarah mere gunahon ko wo dho deti hai
man bahut ghusse mein hoti hai to ro deti hai
Munawwar Rana
jab bhi kashti meri sailab mein aa jati hai
man dua karti hui KHwab mein aa jati hai
Munawwar Rana
jitne bikhre hue kaghaz hain wo yakja kar le
raat chupke se kaha aa ke hawa ne hum se
Munawwar Rana