jo aag lagai thi tum ne us ko to bujhaya ashkon ne
jo ashkon ne bhaDkai hai us aag ko ThanDa kaun kare
Moin Ahsan Jazbi
jab tujh ko tamanna meri thi tab mujh ko tamanna teri thi
ab tujh ko tamanna ghair ki hai to teri tamanna kaun kare
Moin Ahsan Jazbi
jab mohabbat ka nam sunta hun
hae kitna malal hota hai
when mention of love is there
Aah! I feel such deep despai
Moin Ahsan Jazbi
jab kashti sabit-o-salim thi sahil ki tamanna kis ko thi
ab aisi shikasta kashti par sahil ki tamanna kaun kare
Moin Ahsan Jazbi
jab kabhi kisi gul par ek zara nikhaar aaya
kam-nigah ye samjhe mausam-e-bahaar aaya
Moin Ahsan Jazbi
ek pyas bhare dil par na hui tasir tumhaari nazron ki
ek mom ke be-bas TukDe par ye nazuk KHanjar TuT gae
Moin Ahsan Jazbi
hazar bar kiya azm-e-tark-e-nazzara
hazar bar magar dekhna paDa mujh ko
Moin Ahsan Jazbi
hamin hain soz hamin saz hain hamin naghma
zara sambhal ke sar-e-bazm chheDna hum ko
Moin Ahsan Jazbi
dil-e-nakaam thak ke baiTh gaya
jab nazar aai manzil-e-maqsud
Moin Ahsan Jazbi