teri ruswai ka hai Dar warna
dil ke jazbaat to mahdud nahin
Moin Ahsan Jazbi
meri arz-e-shauq be-mani hai un ke waste
un ki KHamoshi bhi ek paigham hai mere liye
Moin Ahsan Jazbi
meri hi nazar ki masti se sab shisha-o-saghar raqsan the
meri hi nazar ki garmi se sab shisha-o-saghar TuT gae
Moin Ahsan Jazbi
mile mujh ko gham se fursat to sunaun wo fasana
ki Tapak paDe nazar se mai-e-ishrat-e-shabana
Moin Ahsan Jazbi
muKHtasar ye hai hamari dastan-e-zindagi
ek sukun-e-dil ki KHatir umr bhar taDpa kiye
Moin Ahsan Jazbi
muskura kar Dal di ruKH par naqab
mil gaya jo kuchh ki milna tha jawa
Moin Ahsan Jazbi
na aae maut KHudaya tabah-haali mein
ye nam hoga gham-e-rozgar sah na saka
Moin Ahsan Jazbi
iste hue zaKHmon ka ho kuchh aur mudawa
ye harf-e-tasalli koi marham to nahin hai
Moin Ahsan Jazbi
yun baDhi saat-ba-saat lazzat-e-dard-e-firaq
rafta rafta main ne KHud ko dushman-e-jaan kar diya
Moin Ahsan Jazbi

