gulon se bhi na hua jo mera pata dete
saba uDati phiri KHak aashiyane ki
Majrooh Sultanpuri
hum hain kaba hum hain but-KHana hamin hain kaenat
ho sake to KHud ko bhi ek bar sajda kijiye
Majrooh Sultanpuri
hum ko junun kya sikhlate ho hum the pareshan tum se ziyaada
chaak kiye hain hum ne azizo chaar gareban tum se ziyaada
Majrooh Sultanpuri
haT ke ru-e-yar se tazin-e-alam kar gain
wo nigahen jin ko ab tak raegan samjha tha main
Majrooh Sultanpuri
jafa ke zikr pe tum kyun sambhal ke baiTh gae
tumhaari baat nahin baat hai zamane ki
Majrooh Sultanpuri
jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale
jo ghar ko aag lagae hamare sath chale
Majrooh Sultanpuri
kahan bach kar chali ai fasl-e-gul mujh aabla-pa se
mere qadmon ki gul-kari bayaban se chaman tak hai
Majrooh Sultanpuri