tishnagi hi tishnagi hai kis ko kahiye mai-kada
lab hi lab hum ne to dekhe kis ko paimana kahen
Majrooh Sultanpuri
tujhe na mane koi tujh ko is se kya majruh
chal apni rah bhaTakne de nukta-chinon ko
Majrooh Sultanpuri
wo aa rahe hain sambhal sambhal kar nazara be-KHud faza jawan hai
jhuki jhuki hain nashili aankhen ruka ruka daur-e-asman hai
Majrooh Sultanpuri
zaban hamari na samjha yahan koi 'majruh'
hum ajnabi ki tarah apne hi watan mein rahe
Majrooh Sultanpuri
dil ki tamanna thi masti mein manzil se bhi dur nikalte
apna bhi koi sathi hota hum bhi bahakte chalte chalte
Majrooh Sultanpuri
ab sochte hain laenge tujh sa kahan se hum
uThne ko uTh to aae tere aastan se hum
Majrooh Sultanpuri
aise hans hans ke na dekha karo sab ki jaanib
log aisi hi adaon pe fida hote hain
Majrooh Sultanpuri
alag baiThe the phir bhi aankh saqi ki paDi hum par
agar hai tishnagi kaamil to paimane bhi aaenge
Majrooh Sultanpuri
ashkon mein rang-o-bu-e-chaman dur tak mile
jis dam asir ho ke chale gulsitan se hum
Majrooh Sultanpuri