ek iman hai bisat apni 
na ibaadat na kuchh riyazat hai
Khwaja Meer u0027Dardu0027
ghafil KHuda ki yaad pe mat bhul zinhaar 
apne tain bhula de agar tu bhula sake
Khwaja Meer u0027Dardu0027
aankhen bhi hae naza mein apni badal gain 
sach hai ki bekasi mein koi aashna nahin
Khwaja Meer u0027Dardu0027
haal mujh gham-zada ka jis jis ne 
jab suna hoga ro diya hoga
Khwaja Meer u0027Dardu0027
hai ghalat gar guman mein kuchh hai 
tujh siwa bhi jahan mein kuchh hai
Khwaja Meer u0027Dardu0027
hum bhi jaras ki tarah to is qafile ke sath 
nale jo kuchh bisat mein the so suna chale
Khwaja Meer u0027Dardu0027
hamein to bagh tujh bin KHana-e-matam nazar aaya 
idhar gul phaDte the jaib roti thi udhar shabnam
Khwaja Meer u0027Dardu0027
har-chand tujhe sabr nahin dard wa-lekin 
itna bhi na miliyo ki wo badnam bahut ho
Khwaja Meer u0027Dardu0027
ho gaya mehman-sara-e-kasrat-e-mauhum aah 
wo dil-e-KHali ki tera KHas KHalwat-KHana tha
Khwaja Meer u0027Dardu0027

