qatl-e-ashiq kisi mashuq se kuchh dur na tha
par tere ahd se aage to ye dastur na tha
Khwaja Meer u0027Dardu0027
qatl se mere wo jo baz raha
kisi bad-KHwah ne kaha hoga
Khwaja Meer u0027Dardu0027
qasid nahin ye kaam tera apni rah le
us ka payam dil ke siwa kaun la sake
Khwaja Meer u0027Dardu0027
ne gul ko hai sabaat na hum ko hai e'tibar
kis baat par chaman hawas-e-rang-o-bu karen
Khwaja Meer u0027Dardu0027
nahin shikwa mujhe kuchh bewafai ka teri hargiz
gila tab ho agar tu ne kisi se bhi nibhai ho
Khwaja Meer u0027Dardu0027
na rah jawe kahin tu zahida mahrum rahmat se
gunahgaron mein samjha kariyo apni be-gunahi ko
Khwaja Meer u0027Dardu0027
mujhe ye Dar hai dil-e-zinda tu na mar jae
ki zindagani ibarat hai tere jine se
Khwaja Meer u0027Dardu0027
mat ja tar-o-tazgi pe us ki
aalam to KHayal ka chaman hai
Khwaja Meer u0027Dardu0027
main jata hun dil ko tere pas chhoDe
meri yaad tujh ko dilata rahega
Khwaja Meer u0027Dardu0027