kisi ka ahd-e-jawani mein parsa hona
qasam KHuda ki ye tauhin hai jawani ki
Josh Malihabadi
mile jo waqt to ai rah-raw-e-rah-e-iksir
haqir KHak se bhi saz-baz karta ja
Josh Malihabadi
mila jo mauqa to rok dunga 'jalal' roz-e-hisab tera
paDhunga rahmat ka wo qasida ki hans paDega azab tera
Josh Malihabadi
mere rone ka jis mein qissa hai
umr ka behtarin hissa hai
Josh Malihabadi
mahfil-e-ishq mein wo nazish-e-dauran aaya
ai gada KHwab se bedar ki sultan aaya
Josh Malihabadi
koi aaya teri jhalak dekhi
koi bola suni teri aawaz
Josh Malihabadi
kaam hai mera taghayyur nam hai mera shabab
mera nara inqilab o inqilab o inqila
Josh Malihabadi
itna manus hun fitrat se kali jab chaTki
jhuk ke main ne ye kaha mujh se kuchh irshad kiya?
Josh Malihabadi
jitne gada-nawaz the kab ke guzar chuke
ab kyun bichhae baiThe hain hum boriya na puchh
Josh Malihabadi

