mana ki rang rang tera pairahan bhi hai
par is mein kuchh karishma-e-aks-e-badan bhi hai
Jaan Nisar Akhtar
log kahte hain ki tu ab bhi KHafa hai mujh se
teri aankhon ne to kuchh aur kaha hai mujh se
Jaan Nisar Akhtar
kuchal ke phenk do aankhon mein KHwab jitne hain
isi sabab se hain hum par azab jitne hain
Jaan Nisar Akhtar
jab lagen zaKHm to qatil ko dua di jae
hai yahi rasm to ye rasm uTha di jae
Jaan Nisar Akhtar
itne mayus to haalat nahin
log kis waste ghabrae hain
Jaan Nisar Akhtar
aankhen jo uThae to mohabbat ka guman ho
nazron ko jhukae to shikayat si lage hai
Jaan Nisar Akhtar
har-chand e'tibar mein dhoke bhi hain magar
ye to nahin kisi pe bharosa kiya na jae
Jaan Nisar Akhtar
hum se puchho ki ghazal kya hai ghazal ka fan kya
chand lafzon mein koi aag chhupa di jae
Jaan Nisar Akhtar
guzar gaya hai koi lamha-e-sharar ki tarah
abhi to main use pahchan bhi na paya tha
Jaan Nisar Akhtar

