hai aaj ruKH hawa ka muafiq to chal nikal
kal ki kise KHabar hai kidhar ki hawa chale
Ismail Merathi
hai aaj ruKH hawa ka muafiq to chal nikal
kal ki kise KHabar hai kidhar ki hawa chale
Ismail Merathi
hai ashk-o-ah ras hamare mizaj ko
yani pale hue isi aab-o-hawa ke hain
Ismail Merathi
hai is anjuman mein yaksan adam o wajud mera
ki jo main yahan na hota yahi karobar hota
Ismail Merathi
har shakl mein tha wahi numudar
hum ne hi nigah-e-sarsari ki
Ismail Merathi
izhaar-e-haal ka bhi zariya nahin raha
dil itna jal gaya hai ki aankhon mein nam nahin
Ismail Merathi
jab ghunche ko washud hui tahrik saba se
bulbul se ajab kya jo kare naghma-sarai
Ismail Merathi
jhuT aur mubaalaghe ne afsos
izzat kho di suKHanwari ki
Ismail Merathi
jis ne chashm-e-mast-e-saqi dekh li
ta qayamat us pe hushyari haram
Ismail Merathi