main tujh se sath bhi to umar bhar ka chahta tha
so ab tujh se gila bhi umar bhar ka ho gaya hai
Irfan Sattar
main jag jag ke kis kis ka intizar karun
jo log ghar nahin pahunche wo mar gae honge
Irfan Sattar
kya bataun ki jo hangama bapa hai mujh mein
in dinon koi bahut saKHt KHafa hai mujh mein
Irfan Sattar
koi mila to kisi aur ki kami hui hai
so dil ne be-talabi iKHtiyar ki hui hai
Irfan Sattar
kisi aahaT mein aahaT ke siwa kuchh bhi nahin ab
kisi surat mein surat ke siwa kya rah gaya hai
Irfan Sattar
kis ajab saat-e-nayab mein aaya hua hun
tujh se milne main tere KHwab mein aaya hua hun
Irfan Sattar
jo aql se badan ko mili thi, wo thi hawas
jo ruh ko junun se mila hai, ye ishq hai
Irfan Sattar
is mein nahin hai daKHl koi KHauf o hirs ka
is ki jaza, na is ki saza hai, ye ishq hai
Irfan Sattar
ek chubhan hai ki jo bechain kiye rahti hai
aisa lagta hai ki kuchh TuT gaya hai mujh mein
Irfan Sattar