اردو हिंदी
Kis ajab saat-e-nayab mein aaya hua hun | Shaahi Shayari
kis ajab saat-e-nayab mein aaya hua hun

Ghazal

Kis ajab saat-e-nayab mein aaya hua hun

Irfan Sattar

;

kis ajab saat-e-nayab mein aaya hua hun
tujh se milne main tere KHwab mein aaya hua hun

phir wahi main hun, wahi hijr ka dariya-e-amiq
koi dam aks-e-sar-e-ab mein aaya hua hun

kaise aaine ke manind chamakta hua main
ishq ke shahr-e-abad-tab mein aaya hua hun

meri har tan hai az-roz-e-azal ta-ba-abad
ek sur ke liye mizrab mein aaya hua hun

koi parchhain kabhi jism se karti hai kalam?
be-sabab saya-e-mahtab mein aaya hua hun

har guzarte hue lamhe mein Tapakta hua mein
dard hun, waqt ke aasab mein aaya hua hun

kaisi gahrai se nikla hun adam ki 'irfan'
kaise payab se talab mein aaya hua hun