koi bhi dil mein zara jam ke KHak uData to
hazar gauhar-e-nayab dekh sakta tha
Idris Babar
kidhar gaya wo kuza-gar KHabar nahin
koi suragh chaak se nahin mila
Idris Babar
KHud-kushi bhi nahin mere bas mein
log bas yunhi mujh se Darte hain
Idris Babar
kahaniyon ne meri aadaten bigaDi thin
main sirf sach ko zafar-yab dekh sakta tha
Idris Babar
kaam ki baat puchhte kya ho
kuchh hua kuchh nahin hua yani
Idris Babar
is qadar mat udas ho jaise
ye mohabbat ka aaKHiri din hai
Idris Babar
is andhere mein jab koi bhi na tha
mujh se gum ho gaya KHuda mujh mein
Idris Babar
ek KHauf-zada sa shaKHs ghar tak
pahuncha kai raston mein baT ka
Idris Babar
ek diya dil ki raushni ka safir
ho mayassar to raat bhi din hai
Idris Babar