اردو हिंदी
Yunhi aati nahin hawa mujh mein | Shaahi Shayari
yunhi aati nahin hawa mujh mein

Ghazal

Yunhi aati nahin hawa mujh mein

Idris Babar

;

yunhi aati nahin hawa mujh mein
abhi raushan hai ek diya mujh mein

wo mujhe dekh kar KHamosh raha
aur ek shor mach gaya mujh mein

donon aadam ke muntaqim beTe
aur hua un ka samna mujh mein

main madine ko lauT aaya hun
yani jari hai karbala mujh mein

raushni aane wale KHwab ki hai
din to kab ka guzar chuka mujh mein

is andhere mein jab koi bhi na tha
mujh se gum ho gaya KHuda mujh mein