gul bang thi gulon ki hamara tarana tha
apna bhi is chaman mein kabhi aashiyana tha
Hatim Ali Mehr
ain-e-kaba mein hai maston ki jagah
kah rahi hain tah-e-abru aankhen
Hatim Ali Mehr
hum bhi baaten banaya karte hain
sher kahna magar nahin aata
Hatim Ali Mehr
hum 'mehr' mohabbat se bahut tang hain ab to
rokenge tabiat ko jo ruk jae to achchha
Hatim Ali Mehr
jannat ki neamaton ka maza waizon ko ho
hum to hain mahw lazzat-e-bos-o-kanar mein
Hatim Ali Mehr
jawan rakhti hai mai dekhe ajab tasir pani mein
pilata hai mera saqi mujhe iksir pani mein
Hatim Ali Mehr
kafir-e-ishq hun mushtaq-e-shahadat bhi hun
kash mil jae teri tegh ka zunnar kahin
Hatim Ali Mehr
karte hain shauq-e-did mein baaten hawa se hum
jate hain ku-e-yar mein pahle saba se hum
Hatim Ali Mehr
KHub-rui pe hai kya naz butan-e-london
hain faqat rui ke galon ki tarah gal safed
Hatim Ali Mehr