اردو हिंदी
Hatim Ali Mehr Shayari | Shaahi Shayari

Hatim Ali Mehr Shers

37 Shers

zaban se baat nikli aur parai ho gai sach hai
abas ashaar ko karte hain hum tashhir pahle se

Hatim Ali Mehr


Tags: | 2 Lines Shayari |


gulzar mein phir koi gul-e-taza khila kya
ghabrai si phirti hai tu ai baad-e-saba kya

Hatim Ali Mehr


Tags: | 2 Lines Shayari |


apna baatin KHub hai zahir se bhi ai jaan-e-jaan
aankh ke laDne se pahle ji laDa baiThe hain hum

Hatim Ali Mehr


Tags: | 2 Lines Shayari |


e-qarari roz-o-shab karne laga
'mehr' ab to dil ghazab karne laga

Hatim Ali Mehr


Tags: | 2 Lines Shayari |


ose lete hain chashm-e-jaanan ke
hum hiran ka shikar karte hain

Hatim Ali Mehr


Tags: | 2 Lines Shayari |


dar-ba-dar mara-phira main justuju-e-yar mein
zahid-e-kaba hua rahban-e-but-KHana hua

Hatim Ali Mehr




diwana hun par kaam mein hoshiyar hun apne
yusuf ka KHayal aaya jo zindan nazar aaya

Hatim Ali Mehr


Tags: | 2 Lines Shayari |


donon usi ke bande hain yakta hai wo karim
ai chashm-e-tar hai tu bhi baDi aashna-parast

Hatim Ali Mehr


Tags: | 2 Lines Shayari |


fasl-e-gul aai to kya be-sar-o-saman hain hum
shisha o jam nahin saqi-e-gul-fam nahin

Hatim Ali Mehr


Tags: | 2 Lines Shayari |