hum bhi baaten banaya karte hain
sher kahna magar nahin aata
Hatim Ali Mehr
ain-e-kaba mein hai maston ki jagah
kah rahi hain tah-e-abru aankhen
Hatim Ali Mehr
gul bang thi gulon ki hamara tarana tha
apna bhi is chaman mein kabhi aashiyana tha
Hatim Ali Mehr
fasl-e-gul aai to kya be-sar-o-saman hain hum
shisha o jam nahin saqi-e-gul-fam nahin
Hatim Ali Mehr
donon usi ke bande hain yakta hai wo karim
ai chashm-e-tar hai tu bhi baDi aashna-parast
Hatim Ali Mehr
diwana hun par kaam mein hoshiyar hun apne
yusuf ka KHayal aaya jo zindan nazar aaya
Hatim Ali Mehr
dar-ba-dar mara-phira main justuju-e-yar mein
zahid-e-kaba hua rahban-e-but-KHana hua
Hatim Ali Mehr
ose lete hain chashm-e-jaanan ke
hum hiran ka shikar karte hain
Hatim Ali Mehr
e-qarari roz-o-shab karne laga
'mehr' ab to dil ghazab karne laga
Hatim Ali Mehr