ghurbat bas ab tariq-e-mohabbat ko qata kar
muddat hui hai ahl-e-watan se juda hue
Habeeb Musvi
asal sabit hai wahi shara ka ek parda hai
dane tasbih ke sab phirte hain zunnaron pa
Habeeb Musvi
fasl-e-gul aai uTha abr chali sard hua
su-e-mai-KHana akaDte hue mai-KHwar chale
Habeeb Musvi
dil mein bhari hai KHak mein milne ki aarzu
KHakistari hua hai hamari qaba ka rang
Habeeb Musvi
dil liya hai to KHuda ke liye kah do sahab
muskuraate ho tumhin par mera shak jata hai
Habeeb Musvi
dasht-o-sahra mein hasin phirte hain ghabrae hue
aaj-kal KHana-e-ummid hai viran kis ka
Habeeb Musvi
chandni chhupti hai takyon ke tale aankhon mein KHwab
sone mein un ka dupaTTa jo sarak jata hai
Habeeb Musvi
utan-e-sarw-qamat ki mohabbat mein na phal paya
riyazat jin pe ki barson wo naKHl-e-be-samar nikle
Habeeb Musvi
arahman shaiKH ko kar de nigah-e-naz us but ki
gulu-e-zohd mein tar-e-nazar zunnar ban jae
Habeeb Musvi