kabhi hath bhi aaega yar sach kah
ya yunhi tu baaten banata rahega
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
har koi apni fahm-e-naqis mein
puKHta sauda-e-KHam rakhta hai
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
ishq mein dard se hai hurmat-e-dil
chashm ko aabru hai aansu se
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
ishq mein KHub nin bahut rona
is se ifsha-e-raaz hota hai
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
ishq ne samne hote hi jalaya dil ko
jaise basti ko lagawe hai adu jang mein aag
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
jo ji chahe hai dekhun mah-e-nau kahta hai dil mera
idhar kya dekhta hai abru-e-KHamdar ke bande
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
kab is ji ki haalat koi jaanta hai
jo ji jaanta hai so ji jaanta hai
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
tujh bin ek dal ho pas rahta hai
wo bhi akasr udas rahta hai
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
shab-e-hijr mein ek din dekhna
agar zindagi hai to mar jaenge
Gulam Yahya Huzur Azimabadi

