meri maili hatheli par to bachpan se
gharibi ka khara sona chamakta hai
Faragh Rohvi
hul gae har waqia bas itna hai yaad
mal-o-zar par thi khaDi rishton ki buniyaad
Faragh Rohvi
KHub nibhegi hum donon mein mere jaisa tu bhi hai
thoDa jhuTa main bhi Thahra thoDa jhuTa tu bhi hai
Faragh Rohvi
khuli na mujh pe bhi diwangi meri barson
mere junun ki shohrat tere bayan se hui
Faragh Rohvi
kaun aata hai ayaadat ke liye dekhen 'faragh'
apne ji ko zara na-saz kiye dete hain
Faragh Rohvi
kaise apne pyar ke sapne hon sakar
tere mere bich hai mazhab ki diwa
Faragh Rohvi
ek din wo mere aib ginane laga 'faragh'
jab KHud hi thak gaya to mujhe sochna paDa
Faragh Rohvi
hamare tan pe koi qimti qaba na sahi
ghazal ko apni magar KHush-libas rakhte hain
Faragh Rohvi
hum se tahzib ka daman nahin chhoDa jata
dasht-e-wahshat mein bhi aadab liye phirte hain
Faragh Rohvi