hum wo sahra ke musafir hain abhi tak jin ki
pyas bujhti hai sarabon ki kahani sun ka
Bharat Bhushan Pant
aankhon mein ek bar ubharne ki der thi
phir aansuon ne aap hi raste bana liye
Bharat Bhushan Pant
hamari baat kisi ki samajh mein kyun aati
KHud apni baat ko kitna samajh rahe hain hum
Bharat Bhushan Pant
har ghaDi tera tasawwur har nafas tera KHayal
is tarah to aur bhi teri kami baDh jaegi
Bharat Bhushan Pant
har taraf thi KHamoshi aur aisi KHamoshi
raat apne sae se hum bhi Dar ke roe the
Bharat Bhushan Pant
is tarah to aur bhi diwangi baDh jaegi
pagalon ko pagalon se dur rahna chahiye
Bharat Bhushan Pant
itna to samajhte the hum bhi us ki majburi
intizar tha lekin dar khula nahin rakkha
Bharat Bhushan Pant
itni si baat raat pata bhi nahin lagi
kab bujh gae charagh hawa bhi nahin lagi
Bharat Bhushan Pant
jaane kitne log shamil the meri taKHliq mein
main to bas alfaz mein tha shaeri mein kaun tha
Bharat Bhushan Pant