hamari baat kisi ki samajh mein kyun aati
KHud apni baat ko kitna samajh rahe hain hum
Bharat Bhushan Pant
aankhon mein ek bar ubharne ki der thi
phir aansuon ne aap hi raste bana liye
Bharat Bhushan Pant
hum wo sahra ke musafir hain abhi tak jin ki
pyas bujhti hai sarabon ki kahani sun ka
Bharat Bhushan Pant
hum sarabon mein hue daKHil to ye hum par khula
tishnagi sab mein thi lekin tishnagi mein kaun tha
Bharat Bhushan Pant
hum kafiron ne shauq mein roza to rakh liya
ab hausla baDhane ko iftar bhi to ho
Bharat Bhushan Pant
ghar se nikal kar jata hun main roz kahan
ek din apna pichha kar ke dekha jae
Bharat Bhushan Pant
ek jaise lag rahe hain ab sabhi chehre mujhe
hosh ki ye intiha hai ya bahut nashshe mein hun
Bharat Bhushan Pant
daman ke chaak sine ko baiThe hain jab bhi hum
kyun bar bar sui se dhaga nikal gaya
Bharat Bhushan Pant
as zara ek aaine ke TuTne ki der thi
aur main bahar se andar ki tarah lagne laga
Bharat Bhushan Pant