hum un ki aas pe umren guzar dete hain
wo moajize jo kabhi runuma nahin hote
Azhar Adeeb
ai shahr-e-sitam chhoD ke jate hue logo
ab rah mein koi bhi madina nahin aata
Azhar Adeeb
e-KHwabi kab chhup sakti hai kajal se bhi
jagne wali aankh mein lali rah jati hai
Azhar Adeeb
dasht-e-shab mein pata hi nahin chal saka
apni aankhen gain ya sitare gae
Azhar Adeeb
der lagti hai bahut lauT ke aate aate
aur wo itne mein hamein bhul chuka hota hai
Azhar Adeeb
donon hathon se chhupa rakkha hai munh
aaine ke war se Darta hun main
Azhar Adeeb
ek lamhe ko sahi us ne mujhe dekha to hai
aaj ka mausam guzishta rose se achchha to hai
Azhar Adeeb
ghazal us ke liye kahte hain lekin dar-haqiqat hum
ghane jangal mein kirnon ke liye rasta banate hain
Azhar Adeeb
hum ne ghar ki salamti ke liye
KHud ko ghar se nikal rakkha hai
Azhar Adeeb