ai mujh ko fareb dene wale
main tujh pe yaqin kar chuka hun
Athar Nafees
'athar' tum ne ishq kiya kuchh tum bhi kaho kya haal hua
koi naya ehsas mila ya sab jaisa ahwal hua
Athar Nafees
a-wafa tha to mujhe puchhne wale bhi na the
be-wafa hun to hua nam bhi ghar ghar mera
Athar Nafees
ahut chhoTe hain mujh se mere dushman
jo mera dost hai mujh se baDa hai
Athar Nafees
darwaza khula hai ki koi lauT na jae
aur us ke liye jo kabhi aaya na gaya ho
Athar Nafees
hamare ishq mein ruswa hue tum
magar hum to tamasha ho gae hain
Athar Nafees
ek aag gham-e-tanhai ki jo sare badan mein phail gai
jab jism hi sara jalta ho phir daman-e-dil ko bachaen kya
Athar Nafees
ek shakl hamein phir bhai hai ek surat dil mein samai hai
hum aaj bahut sarshaar sahi par agla moD judai hai
Athar Nafees
itne din ke baad tu aaya hai aaj
sochta hun kis tarah tujh se milun
Athar Nafees