kabe se khinch laya hum ko sanam-kade mein
ban kar kamand-e-ulfat zunnar barhaman ka
Arshad Ali Khan Qalaq
jame kya panw mere KHana-e-dil mein qanaat ka
jigar mein chuTkiyan leta hai naKHun dast-e-hajat ka
Arshad Ali Khan Qalaq
aaKHir insan hun patthar ka to rakhta nahin dil
ai buto itna satao na KHuda-ra mujh ko
Arshad Ali Khan Qalaq
hua main rind-mashrab KHak mar kar is tamanna mein
namaz aaKHir paDenge wo kisi din to tayammum se
Arshad Ali Khan Qalaq
himmat ka zahidon ki sarasar qusur tha
mai-KHana KHanqah se aisa na dur tha
Arshad Ali Khan Qalaq
hazrat-e-ishq ne donon ko kiya KHana-KHarab
barhaman but-kada aur shaiKH haram bhul gae
Arshad Ali Khan Qalaq
hum un se aur wo hum se dam-e-sulh the KHajil
chhinTe laDa kiye araq-e-infial ke
Arshad Ali Khan Qalaq
hum to na ghar mein aap ke dam-bhar Thaharne aaen
rose aaen jaen surat-e-anfas aur log
Arshad Ali Khan Qalaq
gul-gun teri gali rahe aashiq ke KHun se
yarab na ho KHizan se ye tera chaman KHara
Arshad Ali Khan Qalaq