manzil hai apni apni 'qalaq' apni apni gor
koi nahin sharik kisi ke gunah mein
Arshad Ali Khan Qalaq
main wo mai-kash hun mili hai mujh ko ghuTTi mein sharab
shir ke badle piya hai main ne shira tak ka
Arshad Ali Khan Qalaq
mai jo di ghair ko saqi ne karahat dekho
shisha-e-mai ko maraz ho gaya ubkai ka
Arshad Ali Khan Qalaq
laghar aisa wahshat-e-ishq-e-lab-e-shirin mein hun
chyunTiyan le jaani hain dana meri zanjir ka
Arshad Ali Khan Qalaq
kya koi dil laga ke kahe sher ai 'qalaq'
naqadri-e-suKHan se hain ahl-e-suKHan udas
Arshad Ali Khan Qalaq
kufr-o-islam ke jhagDon se chhuDaya sad-shukr
qaid-e-mazhab se junun ne mujhe aazad kiya
Arshad Ali Khan Qalaq
kuchh KHabar deta nahin us ki dil-e-agah mujhe
wahi ke manind ab mauquf hai ilham ka
Arshad Ali Khan Qalaq
kotah umr ho gai aur ye na kam hui
ai jaan aa ke tul-e-shab-e-intizar dekh
Arshad Ali Khan Qalaq
KHush-qadon se kabhi aalam na rahega KHali
is chaman se jo gaya sarw to shamshad aaya
Arshad Ali Khan Qalaq