aaKHir insan hun patthar ka to rakhta nahin dil
ai buto itna satao na KHuda-ra mujh ko
Arshad Ali Khan Qalaq
aalam-e-piri mein kya mu-e-siyah ka eatibar
subh-e-sadiq deti hai jhuTi gawahi raat ki
Arshad Ali Khan Qalaq
ada se dekh lo jata rahe gila dil ka
bas ek nigah pe Thahra hai faisla dil ka
Arshad Ali Khan Qalaq
agar na jama-e-hasti mera nikal jata
to aur thoDe dinon ye libas chal jata
Arshad Ali Khan Qalaq
agar na jama-e-hasti mera nikal jata
to aur thoDe dinon ye libas chal jata
Arshad Ali Khan Qalaq
ai be-KHudi-e-dil mujhe ye bhi KHabar nahin
kis din bahaar aai main diwana kab hua
Arshad Ali Khan Qalaq
ai pari-zad jo tu raqs kare masti mein
dana-e-tak har ek panw mein ghunghru ho jae
Arshad Ali Khan Qalaq
apne begane se ab mujh ko shikayat na rahi
dushmani kar ke mere dost ne mara mujh ko
Arshad Ali Khan Qalaq
aad mere jo kiya shad kisi ko to kaha
hum ko is waqt wo nashad bahut yaad aaya
Arshad Ali Khan Qalaq