mayus na ho be-ruKHi-e-chashm-e-jahan se
shaista-e-ehsas koi kaam kiye ja
Anwar Sabri
lapka hai bagula sa abhi un ki taraf ko
shayad kisi majbur ki aahon ka dhuan tha
Anwar Sabri
lab pe kanTon ke hai fariyaad-o-buka mere baad
koi aaya hi nahin aabla-pa mere baad
Anwar Sabri
jis ko tere alam se nisbat hai
hum usi ko KHushi samajhte hain
Anwar Sabri
jine wale tere baghair ai dost
mar na jate to aur kya karte
Anwar Sabri
jafa o jaur-e-musalsal wafa o zabt-e-alam
wo iKHtiyar tumhein hai ye iKHtiyar mujhe
Anwar Sabri
jab zamane ka gham uTha na sake
hum hi KHud uTh gae zamane se
Anwar Sabri
ishq ki aag ai maaz-allah
na kabhi dab saki dabane se
Anwar Sabri
hasil-e-gham yahi samajhte hain
maut ko zindagi samajhte hain
Anwar Sabri