aadmiyat ke siwa jis ka koi maqsad na ho
umr bhar us aadmi ki justuju karte raho
Anwar Sabri
aap karte jo ehtiram-e-butan
but-kade KHud KHuda KHuda karte
Anwar Sabri
aaya hai koi pursish-e-ahwal ke liye
pesh aansuon ki aap bhi saughat kijiye
Anwar Sabri
allah allah ye faza-e-dushman-e-mehr-o-wafa
aashna ke nam se hota hai barham aashna
Anwar Sabri
ata-e-gham pe bhi KHush hun meri KHushi kya hai
raza talab jo nahin hai wo bandagi kya hai
Anwar Sabri
de kar nawed-e-naghma-e-gham saz-e-ishq ko
TuTe hue dilon ki sada ho gae ho tum
Anwar Sabri
de kar nawed-e-naghma-e-gham saz-e-ishq ko
TuTe hue dilon ki sada ho gae ho tum
Anwar Sabri
hasil-e-gham yahi samajhte hain
maut ko zindagi samajhte hain
Anwar Sabri
ishq ki aag ai maaz-allah
na kabhi dab saki dabane se
Anwar Sabri