dil sulagta hai tere sard rawayye se mera
dekh ab barf ne kya aag laga rakkhi hai
Anwar Masood
aaina dekh zara kya main ghalat kahta hun
tu ne KHud se bhi koi baat chhupa rakkhi hai
Anwar Masood
e-hirs-o-gharaz qarz ada kijiye apna
jis tarah police karti hai chaalan waghaira
Anwar Masood
'anwar' us ne na main ne chhoDa hai
apne apne KHayal mein rahna
Anwar Masood
'anwar' meri nazar ko ye kis ki nazar lagi
gobhi ka phul mujh ko lage hai gulab ka
Anwar Masood
ajib lutf tha nadaniyon ke aalam mein
samajh mein aain to baaton ka wo maza bhi gaya
Anwar Masood
ai dil-e-nadan kisi ka ruThna mat yaad kar
aan Tapkega koi aansu bhi is jhagDe ke bich
Anwar Masood
aastinon ki chamak ne hamein mara 'anwar'
hum to KHanjar ko bhi samjhe yad-e-baiza hoga
Anwar Masood
aasman apne iradon mein magan hai lekin
aadmi apne KHayalat liye phirta hai
Anwar Masood