اردو हिंदी
Ali Sardar Jafri Shayari | Shaahi Shayari

Ali Sardar Jafri Shers

20 Shers

shikayaten bhi bahut hain hikayaten bhi bahut
maza to jab hai ki yaron ke ru-ba-ru kahiye

Ali Sardar Jafri


Tags: | 2 Lines Shayari |


purane sal ki ThiThuri hui parchhaiyan simTin
nae din ka naya suraj ufuq par uThta aata hai

Ali Sardar Jafri




pyas jahan ki ek bayaban teri saKHawat shabnam hai
pi ke uTha jo bazm se teri aur bhi tishna-kaam uTha

Ali Sardar Jafri


Tags: | 2 Lines Shayari |


sau milin zindagi se saughaten
hum ko aawargi hi ras aai

Ali Sardar Jafri


Tags: | 2 Lines Shayari |


shab ke sannaTe mein ye kis ka lahu gata hai
sarhad-e-dard se ye kis ki sada aati hai

Ali Sardar Jafri


Tags: | Dard | | Raat | | 2 Lines Shayari |


ye kis ne phone pe di sal-e-nau ki tahniyat mujh ko
tamanna raqs karti hai taKHayyul gungunata hai

Ali Sardar Jafri




ye tera gulistan tera chaman kab meri nawa ke qabil hai
naghma mera apne daman mein aap apna gulistan lata hai

Ali Sardar Jafri


Tags: | 2 Lines Shayari |


ye mai-kada hai yahan hain gunah jam-ba-dast
wo madrasa hai wo masjid wahan milega sawa

Ali Sardar Jafri


Tags: | 2 Lines Shayari |


phuTne wali hai mazdur ke mathe se kiran
surKH parcham ufuq-e-subh pe lahraate hain

Ali Sardar Jafri