aarzu wasl ki rakhti hai pareshan kya kya
kya bataun ki mere dil mein hai arman kya kya
Akhtar Shirani
ab ji mein hai ki un ko bhula kar hi dekh len
wo bar bar yaad jo aaen to kya karen
Akhtar Shirani
ab to miliye bas laDai ho chuki
ab to chaliye pyar ki baaten karen
Akhtar Shirani
ab wo baaten na wo raaten na mulaqaten hain
mahfilen KHwab ki surat huin viran kya kya
Akhtar Shirani
ai dil wo aashiqi ke fasane kidhar gae
wo umr kya hui wo zamane kidhar gae
Akhtar Shirani
aja ki hai pas-e-hashr hum ko karenge pas-e-shabab pahle
hisab hota rahega ya rab hamein manga de sharab pahle
Akhtar Shirani
hula baiThe ho hum ko aaj lekin ye samajh lena
bahut pachhtaoge jis waqt hum kal yaad aaenge
Akhtar Shirani
chaman mein rahne walon se to hum sahra-nashin achchhe
bahaar aa ke chali jati hai virani nahin jati
we desert dwellers have a stable state
compared to those that in gardens stay
Akhtar Shirani
dil mein leta hai chuTkiyan koi
hae is dard ki dawa kya hai
Akhtar Shirani